Faça login para habilitar sua assinatura e dê adeus aos anúncios

Fazer login
exibições de letras 22

Hazaaron Khwahishein Aisi

Jagjit Singh

Hazaaron khwahishain 'eisee ke har khwahish pe dam nikle
Bohot nikle mere armaan lekin fir bhee kam nikle

Dare kyoon mera qaatil kya rahega uskee gardan par
Wo khoon, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yoon dam_ba_dam nikle

Nikalna khuld se aadam ka sunte aayain hain lekin
Bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

Bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
Agar is turra-e-pur_pech-o-kham ka pech-o-kham nikle

Magar likhwaaye koee usko khat, to hamse likhawaaye
Huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle

Huee is daur mein mansoob mujhse baada_aashaamee
Fir aaya wo zamaana, jo jahaan se jaam-e-jam nikle

Huee jinse tavaqqo khastagee kee daad paane kee
Wo hamse bhee ziyaada khasta-e-tegh-e-sitam nikle

Mohabbat mein naheen hai farq jeene aur marne kaa
Usee ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle

Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
Jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle

Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim
Kaheen 'eisa na ho yaan bhee wohee kaafir sanam nikle

Kahaan maikhaane ka darwaaza 'ghalib' aur kahaan waaiz
Par itana jaante hain kal wo jaata tha ke ham nikle

Adicionar à playlist Tamanho Cifra Imprimir Corrigir Enviar tradução

Comentários

Envie dúvidas, explicações e curiosidades sobre a letra

0 / 500

Faça parte  dessa comunidade 

Tire dúvidas sobre idiomas, interaja com outros fãs de Jagjit Singh e vá além da letra da música.

Conheça o Letras Academy

Enviar para a central de dúvidas?

Dúvidas enviadas podem receber respostas de professores e alunos da plataforma.

Fixe este conteúdo com a aula:

0 / 500

Posts relacionados Ver mais no Blog


Opções de seleção